Pata nahi kaha se shuru karu kyu bholne ke liye koi shabd bhi nahi hai. Bas itna pata hai ki jo tumhe pyar karta hai usse pyar karo aur tumhe pyar na kare ussw pyar karo sayed woh bhi ek din tumse pyar karne lage.
Dosto, yeh meri life ki choti si ek kahani hai jo meri Mommy-Papa ke bareme hai. Aksar hum log aisa sochte hai ki humhe hamari Maa-Baap pyar nahi karte, kyu ki kabhi kabhi aap jab unse paisa mangte hai toh kisi karan sayed woh apko de nahi pate aur aap yeh sochte honge ki Papa toh mujhe pyar he nahi karte! Aur bhi aisi bohot sare karan hai jiske wase se humko aisa lagta hai ki humare Mommy-Papa humhe pyar nahi karte. Sab log toh aisa nahi sochte magar koi koi aisa jarur sochta hai. Haa dosto main bhi kabhi kabhi aisa sochta tha kyu ki mujhe yeh nahi pata tha ki meri Papa ki life kaisi hai woh kaise Jee raha hai aur humhe kaise khila raha hai? Tab main todha chota tha family problem kya hota hai mujhe samajme nahi ata tha. Sirf school, study aur khelne ki siba mujhe kuch dhikai nahi deta tha. Par jaise jaise main badha hota gaya samey bhi badal tha gaya aur mujhe yeh realize hua ki parents ka pyar kya hota hai. Lekin sawal yeh hai ki mujhe realize kaise hua? Main toh ek student hoon toh study ke liye mera private tutor bhi hai. Ek din kya hua tuition master ne hum sab ko bhola ki iss mahine ke andar sab apna apna fees jama kara de. Fir kya? Yeh baat toh Papa ko bholna he tha aur maine bhol diya ki mujhe tuition fees jama karana hai Sir ke pas. Aur Papa ne bhi bhola thik hai beta kuch din baat ah jana fees lene. Sab kuch thik chal raha tha par kuch din bad mujhe yeh khabar aya ki Mera Papa ka maut ho gaya hai! Phir main rota hua ghar chala gaya, waha jake pata chala ki mera tuition fees jama karane ke liye Papa kaam pe gayetey aur kaam karte karte usko heart attack hua aur mera Papa hamesha ke liye hum sab ko chor kar chaale gaye.
Kitni ajeeb hai yeh pyar bhi
Jo sab kuch mujhse chin liya.
Yeh Dil bhi kitna kamina hai
Jo Maa-Baap ka pyar nahi samja.
Love you Papa
Love you always😭😭
Story by Sourav Chakma
No comments:
Post a Comment