I create this blog to let the people know about some interesting thing in our daily life. This is a blog about my memories and experiences. I do share useful things for people.

Breaking

Monday 23 January 2017

All times good prose in Hindi




Har kisi na kisi Insaan ke pas koi na koi accha dost ya ristedar rehte hai. Zindagi ki safar mein acche aur bhure dono ki jarurat hoti hai, waise he meri yeh zindagi kuch iss tarah si hai. Yeh kahani mera aur mera uncle Dhanabir ki hai jo main aap sab logo ke sath share karna chahta hoon. Zindagi ki raftaar mein kab aur kya ho jata hai yeh kisi ko nahi pata hota jaise ki meri kahani mein hai. Dosto har koi accha dost chahta hai lekin mujhe aisa dost milega yeh kabhi nahi socha tha. Haha woh insaan aur koi nahi mera uncle Dhanabir hai jiske aane se mera pura life badal gaya. Sach bholoon toh usko bhi avi tak nahi pata iske bare mein. Avi app logo ko yeh samjhata hoon ki akir kya chupa iss kahani ke piche.

        Meri life complicated si hai aur kabhi kabhi main kudhko bohot akela mehsoos karta hoon. Mujhe aisa lagta tha ki main kabhi kuch nahi kar paunga. Phir jaise jaise main mere uncle Dhanabir ke karib hota gaya taise taise mere zindagi mein kuch badlab hone lage. Sab kuch accha lagne laga. Avi aap soch rehe honge ki akir konsi kash baat hai uncle Dhanabir ke andar jo main uska itna tarif kar raha hoon! Chaliye uske bareme baat karte hai....

      Uncle Dhanabir ki haar ek baaton par sacchai chupa rehta hai, uska baatein sunne ke bad mujhe hamesha aisa lagta tha ki mujhe kuch toh karna hai future mein. Woh har waqt har ghari sirf kuch karne ki sochta tha mano woh avi Duniya badal dega. Woh hamesha gao ka unnati karne ki sochta tha. Jab bhi main akela hota tha toh usse baat karta tha aur uske sath baat karne ke baad aisa lagta tha jaise swam bhagban buddha ne ake kuch acche baatein kiya ho mere sath woh kehte hai na acche log apni meethi zubaan se he jana jate hai varna acchi baatein toh diwaro par likha hota hai. Phir ek din padai ke liye woh hum sabse durr chala gaya. Par waha jake bhi main usse baat karna nahi chora. Facebook aur Whatsapp pe main uske sath contact karta raha.

       Ek saal baad achanak se uska call aya aur bhola ki exam mera start ho gaya hai, main exam ke baad ghar ah raha hoon. Woh Panjab se ah raha tha, Pehli train cancel ho jane ki wajase 12hrs tak dusri train se ana para. Char din ke bad ghar pohcha. Phir woh ghar lautne ke baad main uske sath phirse samey bitane laga aur pehle ki tarah isbar bhi uncle Dharnabir ne bohot kuch shikaya mujhe. Iss chalti hui samey ki bhi kya baat hai! Pal pal mein kab aur kaise waqt nikal gaya pata he nahi chala hamein. Zindagi mein agar mujhe kuch acchi baatein kehna hai toh main pehle yeh bholunga,
             
                   Do chaar baatein uske naam
          Jisne mujhe  kuch karne ka Hosla diya
                    Pehle pehle  akela tha main
        Par woh ane se zindagi ka pata mill gaya.
     
      Dosto, sayed yeh kahani mein kuch nahi mila par mere liye bohot kash hai. Kyu ki koi hai jo mere liye bohot jada kadh hai. Sab ko kisi na kisi kash insaan ki jarurat hota hai aur mera kash insaan wohi hai. Kuch din bad uska jaane ka samei ho gaya phir se usko jaana tha wapas Panjab. Jab woh jaa raha tha pehli bar aisa laga ki mere dil ki andar se koi insaan chala jaa raha ho. Jate jate woh ek bar bhi piche murke nahi dekha sayed woh apna aasun chupa raha tha. Bale he woh chala gaya hai lekin maine usko apni dill se jaane nahi diya aur kabhi jaane nahi dunga.

                                                       To Be Continued....... 

No comments:

Post a Comment

Become a Millionaire.

2Rupee coin can makes you millionaire know how There were days when you could buy most of the ration with just one rupee coin but now...

Ad